Garmi-E-Hasraten Naakaam Say Jal Jaatay Hain
Hum Charaghon Ki Tarah Shaam Say Jal Jaatay Hain
Shamaa Jis Aag Mein Jalti Hai Nomaaish Kay Liye
Hum Usee Aag Mein Gumnaam Say Jal Jaatay Hain
Jab Bhi Aata Hai Tera Naam Meray Naam Kay Saath
Janay Kioon Log Meray Naam Say Jal Jaatay Hain