Uski yaadon ka silsila hoga
is kahani main or kya hoga
jab bichar kar bhi wo khamosh raha
Ghar jaa kar tu ro diya hoga
khud ko samjha diya hay maine magar
kya wo khud bhi badal gaya hoga
itna aasaan na tha mujhay khona
usne khud ko ganwa dia hoga
mujh ko veeran kar diya jis ne
khud tu aabaad kahin huwa hoga
sochta hoon jo mujhko chahta tha
yaad mujh ko kar raha hoga
Showing posts with label Poem SMS. Show all posts
Showing posts with label Poem SMS. Show all posts
Wednesday, December 23, 2009
ghani dosh
ghani dosh par samhlalay ,ghani zulf kay doshalay,,,,
wohi sanwli si rangat,wohi nain neend walay
wohi man pasand qamat, wohi khush numa sarapa,,,,
jo badan main neem khuabi,tu lahoo main rat jaga sa
kabhi payas ka samandar,kabhi aas ka jazira,,,
wohi meharban lehja,wohi mezan-o-tera

tujhe yaad karte hain
Tujhe yaad karte hain har sans k bad,
Kabhi subh se pehle kabi sham k bad.
Kabhi milo to kuch Karen batein,
Ek jam se pehle ek jam ke bad.
Dil ki dewaron pe tera nam likte hain,
Kabhi fursat mein kabhi kaam ke bad.
Mere marne k bad b log tujhe pukarenge IMDAD,
Kabhi mere NAAM se pehle kabhi mere NAAM k bad.

kisi ki yaad dil ko
Kisi ki yaad dil ko beqarar karti hai,
Nazar talaash usay bar bar karti hai.
Gila ye nahi k hum hain door un se Imdad,
Un ki Judai b hum se piyar karti hai.
Nazar talaash usay bar bar karti hai.
Gila ye nahi k hum hain door un se Imdad,
Un ki Judai b hum se piyar karti hai.
dhala hai
Dhala Hai Chand, Lo Akhir-e-Shab Hai Ab So To Jaayen..
Kaho In Bolti Ankhon Se Ke Khamosh Ho Jaayen..
Andheri Raat Mein Roshan Sitara Kis Ne Dekha Hai..
Samundar Ke Safar Mein Haan Kinara Kis Ne Dekha Hai..
Sanbhal Jaa Aae Dil Ke Tumhein Samjhaaye Jaatey Hein..
Kaheen Aisa Na Ho Hum InKi Gehraai Mein Kho Jaayen..
Kaho In Bolti Ankhon Se K Khamosh Ho Jaayen..
Yeh Chaha Kub Tha InKi Aseeri Chore Jana Hai..
Magar Kismat Mein Likha Tha So Likha Tha Humne Mana Hai..
Humein Aise Jo Dekhain Gay To Ab Bhi Na Paayen Gay..
Na Paas aao Ke Jaatey Wakt Hum Qurbat Pe Ro Jaayen Gay..
Kaho In Bolti Ankhon Se K Khamosh Ho Jaayen..
Humara Muskra Kar Alwida Kehna Inhe Bhaaya..
Magar Yeh Kia Abhi Se In Mein Saawan Utar Aaya?
Inhe Rooko Humare Dil Ka Yun Na Imtihaan Lain Ab..
Yeh Baadal Ab Kaheen Mun Ko Humare Na Bhigo Jaayen..
Kaho In Bolti Ankhon Se K Khamosh Ho Jaayen..
Dua Hai Yeh Sadah Hansti Rahein Roshan Rahein Har Dum..
Zamane Bhar Ki Hon Khushian, Yeh Na Dekhen Ab Koi Gham..
Meri Ankhon K Jugno Bhi Inhi Ki Shaam Mein Chamkein..
Khudaya ! saare Mausam In Mein Rang o Bu Sama jaayen..
Kaho In Bolti Ankhon Se K Khamosh Ho Jaayen.

wo jo milta hay
wo jo milta hay
to har dard bhula deta hay
jany kia bat hay dil us dowa deta hay
wo mujhay pyar say roty main hassanay wala
yad aata hay to hansaty main rula deta hay
to har dard bhula deta hay
jany kia bat hay dil us dowa deta hay
wo mujhay pyar say roty main hassanay wala
yad aata hay to hansaty main rula deta hay
muhabbat chorde dee
"MUHABBAT Chorde dee HUM nien"
Abhi jub lout ker phir TUM humaray dur per aye ho
Yeah tum se keh diya kis nien
ke TUM bin reh nahien saktay
ke yeah dukh seh nahien saktay
Chalo yeah maan laitay hain
ke TUM bin HUM buhat roye
kayee ratoon ko na soye
Mager ik baat hai "JANA"
Ke TUM nakam loto gay
Ager TUM jannana chaho
ke aisa kion kiya HUM nien
To sun lo ghor se "JANA"
Purani ik riwayat torde di HUM nien
"MUHABBAT chorde di HUM ne"
"MUHABBAT chorde di HUM ne".

yeh jo khawahishon ka
YEH JO KHAWAHISHON KA PARIND HAI,
ISSEY MAUSMON SEY GHARAZ NEHIN,
YEH URREY GAA APNE HEE MAUJJ MEIN,
ISSEY AAB DEY YA SARAB DEY.
KABHEE YOUN BHEE HO TEREY ROOBAROO,
MEIN NAZAR MILA KER KEH SAKOON,
MERI KHWAHISHON KA SHUMAR KER,
MERI HASRATON KA HISAB DEY
ISSEY MAUSMON SEY GHARAZ NEHIN,
YEH URREY GAA APNE HEE MAUJJ MEIN,
ISSEY AAB DEY YA SARAB DEY.
KABHEE YOUN BHEE HO TEREY ROOBAROO,
MEIN NAZAR MILA KER KEH SAKOON,
MERI KHWAHISHON KA SHUMAR KER,
MERI HASRATON KA HISAB DEY
wo mere qareeb tha
Dekh kar Tanha mujh se poocha Baharon ne,
Kahan gaya tera wo Humsafar…?
Tujhe to bara naaz tha us par?
Ye dekh kar mai chup raha,
Magar!!!
Mere Ansouon ne Jawab diya,
Milna Qismat mai or Bichharna Naseeb tha,
Wo mujh se Itna Door ho gaya IMDAD,
JITNA!!!
Wo mere Qareeb tha.

aur tum saamne aaa jaao
Aur Tum Saamne Aaa Jaao
Sochti baithi hoon ….
Kaash aisa ho
Tanha chandni raat ho
Aur Tum Saamne Aaa jaao
Khwaab dekhti hoon....
Mehfil ho….Koi naam le tumhara
Aur Tum Saamne Aaa Jaao
Mehsoos Karti Hoon.....
Ye barfili chaadarein
Ye khushboo hawaaon mein
Jab tumhaare chehre se ye guzarkar
Tumhari khushboo liye mere chehre pe samaaye
Aaankh khule Aur Tum Saamne Aaa Jaao
Jhumti hoon
Baarish mein bh

main khushnaseebi
abhi ek raat adhuri hai
meri baat adhuri hai
tum sunlo to mai kehdon
jo kehna hia tumhain
mujhay kuch barsoon se
k tum bin 'meri zindagi'
meri zaat adhuri hai
abhi ek raat adhuri hai
meri baat adhuri hai
ek pal ko teher jao
meri ankh k paymanay
qabal iskay jhalak jayain
meri sanson ki dori jo
qabal k tut jayay jo
qabal iskay mai tumse
keh na paon jo
mujhay itna hi kehnay do
k mairay paas
apni yadon ko rehnay do..
meri baat adhuri hai
tum sunlo to mai kehdon
jo kehna hia tumhain
mujhay kuch barsoon se
k tum bin 'meri zindagi'
meri zaat adhuri hai
abhi ek raat adhuri hai
meri baat adhuri hai
ek pal ko teher jao
meri ankh k paymanay
qabal iskay jhalak jayain
meri sanson ki dori jo
qabal k tut jayay jo
qabal iskay mai tumse
keh na paon jo
mujhay itna hi kehnay do
k mairay paas
apni yadon ko rehnay do..
bohat mumkin tha
Bohat Mumkin tha
Merey Paoo'n , Meri Zeest ke
Kaantey Nikal Jaatey
Bohat Mumkin tha
Meri Raah ke Pathar Pighal Jaatey
Jo Deewaarein Merey Raste mein Haayel Thein
Merey Aagey Se Hatt Jaatein
Agar Tum Aankh Utha Kar Dekh Letey
Kohsaaroo'n ki taraf Aik Pal
Chataanein Ik Tumhari Junbash-e-Abroo se Katt Jatein
Bohat Munkin tha Angaaroo'n Bhari Iss Zindegaani mein
Tumhaarey Paaoo'n ke Ujley Kanwal Khiltey
Rafaaqat ki Sunehri Jheel Mein
Dono ke Aks-e-Zofishaa'n Hiltey
Bus Ik Khaab-e-Musalsal ki Faza Rehti
Hamari Rooh kab Ham se Khafa Rehti ?
Yeh Sab Kuch Ain Mumkin Tha
Agar Tum Mujh Ko Mil Jaatey

tabiyat in dinon
Tabiyat in Dinon,
Begana gham ho jati ha,
Mere hisay ki goya har khushi kam ho jati ha,
Wahi ha Shahid-o-Saqi,
Magar dil bujhta jata ha,
Ke mehfil to wahi ha,
Dil kashi kam hoti jati ha,
Wahai ha Shama,
Begana gham ho jati ha,
Mere hisay ki goya har khushi kam ho jati ha,
Wahi ha Shahid-o-Saqi,
Magar dil bujhta jata ha,
Ke mehfil to wahi ha,
Dil kashi kam hoti jati ha,
Wahai ha Shama,
wo nahi mera
wo nahi mera mager us se MUHABBAT HE TO HAI
yeh agar rasmo riwajon se bagawat he to hai
sach ko maine sach kaha jab keh diya to keh diya
ab zamaney ki nazarar maein ye himaakat he to hai
dost ban kar dushmano sa wo satata hai mujhe
phir bhi us pathar dil pe marna apni fitrat he to hai
kab kaha mainey k wo mil jaye mujhko
uski bahon mein dum nikle ithni hasrat he to hai

yeh kaisi
Yeh kaisi khwaish hai.
Dil mey chayyii bekaraari si,
Yeh kaisi khwaish hai.
Khamosh, Gumsum, Udaas si,
Yeh kaisi shaam aayi hai.
Badle hue khayaalat hai magar,
Phir wohi tanhaai hai.
Aawaara, banjaara, anjaana sa,
Yeh safar bhi saudaii hai,
Dil dein hum ya Jaan de dein,
Har haal mey ruswaaii hai.
Dil mey chayyii bekaraari si,
Yeh kaisi khwaish hai.
Khamosh, Gumsum, Udaas si,
Yeh kaisi shaam aayi hai.
Badle hue khayaalat hai magar,
Phir wohi tanhaai hai.
Aawaara, banjaara, anjaana sa,
Yeh safar bhi saudaii hai,
Dil dein hum ya Jaan de dein,
Har haal mey ruswaaii hai.
jo humay hai
Jo humay hai pasand,
woh kerte hai pasand kisi aur ko,
Un per hai hamari nazar,
woh dekhte hai kisi aur ko,
Dil lagaya hi thaa unse,
aur toot bhi gaya,
Humay pata na chala,
kyon khuda rooth hi gaya,
Ab soch-soch ker yeh baat,
Dil jalta rehta hai,
Phir bhi unhi ko chahne ki khataa,
yeh dil kerta rehta hai
woh kerte hai pasand kisi aur ko,
Un per hai hamari nazar,
woh dekhte hai kisi aur ko,
Dil lagaya hi thaa unse,
aur toot bhi gaya,
Humay pata na chala,
kyon khuda rooth hi gaya,
Ab soch-soch ker yeh baat,
Dil jalta rehta hai,
Phir bhi unhi ko chahne ki khataa,
yeh dil kerta rehta hai
pyaar maanga
Pyaar maanga hai toh, Pyaar hi dena,
Humdardi ke liye Dost kaeeen hai,
Izhar jab karu, toh ikraar dena,
Berukhi ke liye Dushman bhi kaeen hai,
Har roz Khuda se kaeen duaaen ki hai,
Har duaa mein tujhay maangne ki khataaen ki hai,
Kuchh lafz tujhay mil jaye, kuch khuda hummein de dein,
Kambakht, mere Dard 'e' Dil, ki bas dawa yahi hai!

kuch bhi
Kuch bhi tu nahee mere paas
Teri yaadoon ke siwa
Teri pyaar bhari baatoon ke siwa
Mujhe yaad hai sab kuch
Tera woh kehna ke
kitni khobsurat hain aankhain tumhari
Kitne rung hain in main
Yeh kitna muskuraati hain
Yeh kitni baatain karti hain
Main thori door hojaoon tau
Mujhe waapis bulaati hain
Yeh mujh ko aazmaati hain
Magar
Ab kuch bhi tu nahee bacha in mein
Tere khwaaboon ke siwa
Teri yaadoon ke siwa...
Teri yaadoon ke siwa
Teri pyaar bhari baatoon ke siwa
Mujhe yaad hai sab kuch
Tera woh kehna ke
kitni khobsurat hain aankhain tumhari
Kitne rung hain in main
Yeh kitna muskuraati hain
Yeh kitni baatain karti hain
Main thori door hojaoon tau
Mujhe waapis bulaati hain
Yeh mujh ko aazmaati hain
Magar
Ab kuch bhi tu nahee bacha in mein
Tere khwaaboon ke siwa
Teri yaadoon ke siwa...
eik baat
Eik Baat Kahoon Ger Sunti Ho
Tum Mujh Ko Achi Lagti Ho
Kuch Chup Chup Si
Kuch Chanchal Si
Kuch Pagal Pagal Lagti Ho
Hain Chahney Waaley Aur Beht
Per Tum Main Hai Ik Baat Beht
K Tum Apni Apni Lagti Ho
Ik Baat Kahoon Ger Sunti Ho
Tum Mujh Ko Achi Lagti Ho
Yeah Baat Baat P Kho Jana
Kuch Kehtey Kehtey Ruk Jana
Yeah Kis Ukjhan Main Rehti Ho
Kia Baat Hai Hum Sye Keah Dalo
Eik Baat Kahoon Gar Sunti Ho
Tum Mujh Ko Achi Lagti Ho
Tum Mujh Ko Achi Lagti Ho
Kuch Chup Chup Si
Kuch Chanchal Si
Kuch Pagal Pagal Lagti Ho
Hain Chahney Waaley Aur Beht
Per Tum Main Hai Ik Baat Beht
K Tum Apni Apni Lagti Ho
Ik Baat Kahoon Ger Sunti Ho
Tum Mujh Ko Achi Lagti Ho
Yeah Baat Baat P Kho Jana
Kuch Kehtey Kehtey Ruk Jana
Yeah Kis Ukjhan Main Rehti Ho
Kia Baat Hai Hum Sye Keah Dalo
Eik Baat Kahoon Gar Sunti Ho
Tum Mujh Ko Achi Lagti Ho
dhoop mein saayaedeewaar zaroo
Dhoop mein saaya-e-deewaar zaroori to nahein,
Ab tere baad koi pyaar zaroori to nahein,
Hum tere ek isharay pe kata dein gardan,
Ho tere haath mein talwaar zaroori to nahein,
Mere elaan-e-baghawat se salamat reh jaaye,
Teri badshahi tera darbaar zaroori to nahein,
Nafratein phaink ke aa phir se galay lag jayein,
Aisa mauqa milay har baar zaroori to nahein,
Jeet loon ga tujhay duniya se mera waada hai,
Iss dafa bhi ho meri hi haar zaroori to nhn